Add Poetry

Sharm Kay Atomee Qoowat Hain Hum

Poet: Munaafiq By: junaidkhawaja, Karachi

Lakht-E-Jigar Kisi Ka Juda Jub Apna Lakht Hoga Juda To Kya Tub Hi Cheekho Gay?
Qumba Tabah Kisi Ka To Khamosh Kya Apna Tabah Hoga To Hosh Ganwa Bethogay?
Makaan Gira Hai Kisi Ka Door Kahin Jub Apna Larzzay Ga To Hi Niklogay?

Ik Waadi Hai Kashmir Kay Jahan Khoon Behta Hai To Kaleja Yahan Kat'ta Hai
Ik Watan Hai Falasteen Kay Jahan Mout Naachti Hai To Bazaar Yahan Kay Be-Ronaq Hojaate Hain

Kay Jub Pakistan Atom Bomb Ka Tajarba Karta Hai To Woh Seena Cheer Kay Kehte Hain
Ab Zulm Ki Deewaar Dhay Jaayegi Kay Ab Hum Bhi Hain "Islami Bomb" Kay Maalik
Jo Tum Ko Khaak Ka Dherr Bana Dega
Aaj Jo Hanste Ho Hum Par
Kal Tum Ko Pakistan Naako Chanay Chabwaa Dega

Kay Jub Hota Hai Zulm Un Par To Yeh Keh Dete Hain Kashmiri
Dharrakte Hai Pakistan Ka Dil Hamaray Saath Woh Lenge Gin Gin Hisaab Har Aik Tumhare Zulm Ka

Mujhe Sharm Hai Kay Hum Sub Se Mehfooz Atomee Qoowat Hain
Mujhe Sharm Hai Kay Hum Tadaad Mein Bhi Sub Se Ziyada Hain
Mujhe Sharm Hai Kay Hamaray Nazariye Ka Phelaao Sub Se Tez Aur Sub Se Waseeh Hai
Sharm Hai Kay Hum Ab Bhi Is Sub Se Ghaafil Hain

Raayi Ko Bantay Pahaarr Dair Nahi Lagti
Aye Mard-E-Mujahid Waqt Hai Ab Bhi Jaag Le
Kay Kal Kisi Ne Dekha Nahi
Kyun Kay Kal Jo Thay Be-Baak
Aaj Hain Dherr Hain Faqt Khaak Ka

 

Rate it:
Views: 590
13 Jul, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets