Add Poetry

Shikwa

Poet: khamosh aansu By: Silent Tears, karachi

Tere Youn Chor Jaane Ka Shikwa
Door Jaake Na Bulane Ka Shikwa
Dil Ye Tera Tha Hai Or Rahe Ga Hamesha
Hai Tere Loat Ke Na Aane Ka Shikwa

Shikwa Hai Mujhe Teri Ruswaai Ka
Shikta Hai Mujhe Be Jaa Tanhaai Ka
Shikwa Karu Kya Ke Kasoor Hai Mera
Bas Tujhse Ye Dil Lag Jaane Ka Shikwaa

Dard Kya Dard Main Kho Gaya Hn Main
Aah Laita Nahi Ab Be His Ho Gaya Hn Main
Jaan Meri Har Pal Main Mujhe Tarpati Hai
Meri Zindagi Main Tarap Jagane Ka Shikwa

Tere Liye Jeeta Tha Tujhpe Mar Jata Tha
Tujhse Shuru Hota Tujhpe Mit Jata Tha
Tere Baad Na Jee Saka Kabhi Bhi Main
Mujhe Jeete Ji Mar Jaane Ka Shikwa

Tera Waada Tha Bas Teri Hi Rahu Gi Main
Tujhse Pyaar Karti Hu Yahi Kahu Gi Main
Itne Waade Mujhse Nibhaaya Aik Bhi Na
Tera Ye Waade Na Nibhaane Ka Shikwa

Aake Paas Tera Mere Seene Se Lag Jaana
Saamne Reh Ke Mujhe Har Pal Hasaana
Har Khushi Bikhar Gayi Tere Baaad Merii
Haste Hue Chehre Ko Rulaane Ka Shikwa

Bedard Zamaane Main Tujhe Apna Kaha Mene
Zamaane Ke Dard Ko Teri Khaatir Saha Mene
Be Dard Hua Tu Chor Gaya Mujhko Khamosh
Tanhaai Main Mujhko Dubaane Ka Shikwa
 

Rate it:
Views: 589
10 Jul, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets