In Khamosh Aankho’n Mein Tufa’n Dekh Raha Hoo’n
Aah Bharti Hui, Wo Siskiya’n Dekh Raha Hoo’n
Do Lafzo’n Mein Kehdo Jo Baat Dil Mein Hai
Seeney Ki Aag Se Uth-ta Hua, Wo Dhua’n Dekh Raha Hoo’n
Beech Raah Mein Tanha Jo Chodh De
Door Jata Hua, Wo Karva’n Ko Dekh Raha Hoo’n
Aabru Kisi Aurat Ki Jab Khak Hui Is Jaha’n Mein
Darindo’n Ki Shakl Mein Chupa, Wo Insa’n Dekh Raha Hoo’n
Ghaflat Ki Neend Mein Momino, Kab Tak Sotey Rahoge
Be-Khauf Aati Hui, Wo Andhiya’n Dekh Raha Hoo’n
Halaat Ko Sudharne Mein, Ab Aur Kitna Waqt Lagega ?
Bheed Mein Khadey, Har Shaks Ko Paresha’n Dekh Raha Hoo’n
Had-e-Nigah Tak Khamoshi, Zard Patto’n Ki Tarah Phaili Hai
Ek Arsey Se Chaya Hua, Mausam-e-Khiza’n Dekh Raha Hoo’n
Hanste-Hanste Jaan De Di, Usney Apni Sarhad Pe
Ghar Ke Aangan Mein Rotee Hui, Wo Maa Dekh Raha Hoo’n
Na Jane Kite Ghar Tabah Honge Shakir Har Fasaad Mein
Qaumo’n Ke Darmiya’n Phaili Hui, Wo Chingariya’n Dekh Raha Hoo’n
Mazhab Ke Naam Par Kitni Lakire’n Hain Yaha’n
Tukdey-Tukdey Mein Bata Hua, Wo Hindusta’n Dekh Raha Hoo’n