Add Poetry

Suno K Hum Bhi Ghazal Kehney Lagey

Poet: MuaviyA By: MuaviyA, Karachi

Suno K Hum Bhi Ghazal Kehney Lagey
Rooz Marney Ko Sahal Kehney Lagey

Ik Woh Raat Thi Ik Ye Bhi Raat Hai
Tanha To Ab Bhi Nahin Mai Ka Saath Hai

Us Raat Bhi Jaga Tha Subh Talak
Aatish-E-Ishq Choo Rahi Thi Falak

Chandni Raat Mujhey Aur Bhi Behkaye
Sulagtey Angaroon Ko Aur Bhi Bharkaye

Phir Dafatan Sama'atoon Se Kuch Takraya
Woh Teri Yaad Ki Ahat Thi Ab Yaad Aya

Phir Bin Badal K Sawan Barasney Lagey
Aaj Tu Merey Ye Ashk Bhi Rooney Lagey

Chubhtey Hoye Mazi Ko Kanwal Kehney Lagey
Suno K Hum Bhi Ghazal Kehney Lagey

Phir Yon Hi Hum Qalam Ko Uthaye Ik Rooz
Likhney Lagey Apni Dastan-E-Ranj-O-Sooz

Ye Kiya K Har Jumley Mai Tera Naam Aya
Khudi Pe Raha Na Ikhtiyar Qalam Ko Josh Aya

Chalta Raha Woh Warq-E-Zeest Pe Is Tarhan
Dharkanen Chalti Hain Seeney Mai Jis Tarhan

Yak Dam Jab Ruka Tu Ye Jana Humney
Tarap Raha Tha Woh Sansen Lagen Thumney

Phir Zindagi K Badal Chatney Lagey
Aur Apney Laho Se Hum Likhney Lagey

Yadoon K Malbey Ko Mahal Kehney Lagey
Suno K Hum Bhi Ghazal Kehney Lagey

Rate it:
Views: 987
30 Mar, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets