Add Poetry

Suno, Main Thak Gayaa Hoon

Poet: Bilal By: Bilal Sagheer, lahore

Suno, Main Thak Gayaa Hoon
Meri Palkoon Pey Ab Tak Kuch Adhoorey Khwaab Jaltay Hain
Meri Neendoon Main Terii Yaadl Key Resham Ulajhtey Hain
Merey Aansoo Merey Chehrey Pey Terey Gham Ko Likhtey Hain
Merey Andar Kayi Sadiyon Key Sannaton Kaa Deyra Hai
Meray Alfaaz Baahain Waa Kiye Mujh Ko Bulatey Hain
Mager Main Thak Gayaa Hoon
Bohat Hi Thak Gayaa Hoon
Aur Main Ney Khamoshi Ki God Main Sar Rakh Diya Hai

Main Baloon Main Tumhari Ungliyan Mehsoos Kerta Hoon
Meri Palkon Pey Jaltay Khwaab Hain Ab Raakh Ki Soorat
Tumhari Yaad Key Resham Bhee Ab Neendain Nahin Bantey
Mari Aankhon Main Jaisay Thar Kay Mausam Ka Basera Hai
Mujhay Andar Key Sannaton Main Gehri Neend Aai Hai

Suno!

Iss Yaad Sey Keh Do
Mujhay Kuch Dair Soney Dey
Main Thak Gaya Hoon
Bohat Hi Thak Gaya Hoon
 

Rate it:
Views: 2607
10 Nov, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets