Suno!
Naraz Ho Hum Say
Mager Hum Woh Hain
Jinhein Manaana Nahin Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Say
Mohabbat Jo Nahin Ki Hai
Mohabbat Kis Tarah Hoti
Humarey Shehar Ke Atraaf Mein
To Sakht Pehra Tha Khizaaon Ka
Aur Iss Shehar-E-Pareshan Ki
Faslein To Zard Paton Say Ladi Theen
Aur Inn Mein
Na Khushboo Thi Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Utthtey Humarey Deeda Dil
Jiss Ki Qurbat Say
Hum Aisey Shehar Ki Sunsaan Galiyon Mein
Kisi Sookhey Huwey
Weeran Patey Ki Tarah Thay
K Jab Zaalim Hawa Hum Per Khadam Rakhti
To Uss Ke Paaon
Ke Neechey Humara Dam Nikal Jaata
Mager Pat Jharr Ka Woh Mosam
Apna Tal Chuka Hai Abb To
Mager Jo Haar Hona Thi
Woh To Ho Chuki Hum Ko
Suno
Haarey Huwey Logon Say Roottha Nahin Kartey