Sub Guzra Dopeher Ab Phir Sham Hogai Hay
Hay Sham E Ghariban Ab Wo Bhi Tamam Hogai Hay
Reh Gai Hay Ey Taveel Shab Jis Ki Tareeki Hamen Rola Rahi Hay
Apne Piaron Ki Judai Hamen Bohot Rola Rahi Hay
Roro K Ankhen Soojh Si Gaen Hen
Dil o Dimagh Apahajh Hota Ja Raha Hay
Sabar Ki Talqeen Kis Kis Ko Karon Main
Hr Shaks Hay Nidhaal Apne Darwazon K Sahary
Jo Ab Tak Khulen Hen Umeed Apne Lakhte Jigar K Sahary
Najane Ey Zakham Kab Khushk Hoga
Najane Ey Khala Kab Pur Hoga
Ghamgeen Nahi Aik Wahid Main Tanha
Sara Aalam Hi Is Gham Me Dooba Howa Hay
Sub Guzra Dopeher Ab Phir Sham Hogai Hay