Add Poetry

Talaash

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-India

Safar Jaisa Bhi Ho, Mujhe Us Manzil Ki Talaash Hai
Andhero’n Mein Jo Saath De, Mujhse Saaye Ki Talaash Hai

Shafqat Se Haath Pher De, Jo Sar Pe Mere
Zindagi Mein Mujhe Uss Maa Ki Talaash Hai

Kitni Ulfat Se Wo, Sab Kuch Khaa Lete Hain
Thali Mein Bantey, Mujhe Un Niwalo’n Ki Talaash Hai

Apne Daaman Mein Sametley, Sirf Ek Baar
Sadiyo’n Se Mujhe Us Aaghosh Ki Talaash Hai

Taqdeer Ka Suraj Chamke, Mere Liye Bhi Kabhi
Aane Wali Mujhe Us Subha Ki Talaash Hai

Sara-pa Khatao’n Mein Dooba Hua Hu Main
Gunhao’n Ko Jo Mita-dey, Mujhe Us Tauba Ki Talaash Hai

La-ilaj Lagti Hai, Mujhe Seeney Ki Jalan
Zakhmo’n Par Laga-dey jo, Mujhe Us Marham Ki Talaash Hai

Samandar Bhi Kam Hai, Is Pyaas Ke Saamne
Rooh Ko Jo Taazgi De, Mujhe Us Paani Ki Talaash Hai

Tanhayee Mein Apne Gham Ko Kuch Kam Kar Lu
Ji Bhar Rone Ke Liye, Mujhe Us Jagah Ki Talaash Hai

Wo Apne Aib Ko Duniya Se Kab Tak Chupayenge
Sach Ko Zahir Karey Jo, Mujhe Us Aaine Ki Talaash Hai

Har Taraf Khun Barpa Hai, Logo’n Ki Jahalat Se
Sukun Miley Jaha’n Mein, Mujhe Us Zameen Ki Talaash Hai

Kabhi Na Khatm Ho Zindagi Mein, Ye Wo Khalish Hai
Shakir Ko Jo Samjhe, Mujhe Us Saathi Ki Talaash Hai

Rate it:
Views: 765
11 Jul, 2014
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets