Add Poetry

Talash-e-Gumshuda

Poet: Ishraq jamal Ashar Chishti By: Isharaq Jamal Ashar Chishti, karachi

Koi Tu Laday Khaber Mujh Ko Us Sitamgar Kee
Wo Jiss Kee Yaad Mujhay Aaj Bhee Satatee Hay

Wo Jiss Ka Chehra Rag-O-Paiy May Baas Gaya Hay Meray
Shabeh Jiss Kee Mera Khon-E-Dill Jala Tee Hay

Wo Uska Shoq Tabbasum Jo Zindagi Tha Meri
Wo Chahatoon Bhara Lehja Bhakhair Ta Tha Khoshi

Nazar Jamee Hay Kay Aisee Jisay Hata Na Sakoon
Jisay Bhula Na Bhee Chahoon Magar Bhula Na Sakhon

Wo Paas Thee To Meray Char Soo Thay Khoshiyon Kay Raang
Wo Kia Gaie Meri Dunya Ujar Gaie Jasay

Meri Hiyat Say Sansain Nikal Gai Jasay
Meray Nasseb Kee Khoshyan Bikhar Gaie Jasay

Mujhay Qubool Wo Mehloon Kee Jagmagahat Hay
Meray Ghutan Zada Tareek Ghar May Kion Chamkay

Wo Abar-E-Husun Barasta Hay Zar Kay Jangal Pal
Mey Muflisee Ka Hon Sehra Wo Mujh Pay Kion Barsay

Elahee Yaa To Mera Hafiza Khatam Karday
Yaa Zindagi Jo Ata Kee Hay Cheen Lay Mujh Say

Rate it:
Views: 1789
06 Nov, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets