Tanha Rahoon Mein Chalne Waley
Poet: Ahmed Fraz By: WASHMA KHAN, MOSCOWTanha Rahoon Mein Chalne Waley Manzil Ka Pata Kahan Jante Hain
 Ham To Thokar Khaney Ko Hi Zindgi Ka Samaan Jante Hain
 
 Tum Rehney Wale Ho Kis Nager Ke Kahan Se Aye Mery Dunia Mein
 Ham To Koe Aisi Zameen Na Aisa Asmaan Jante Hain
 
 Hamry Dil Mein Rehti Hain Sada Se Murjhaey Howi Umeedein
 Kab Bahar Ati Hay Kia Janein Ham To Sirf Khazan Jante Hain
 
 Dunia Samjhti Hay Hamein Kia Kia Khabar Loog Kia Kahte Hain
 Ham To Tery Har Lafz Ko Apne Liay Aakhri Farman Jante Hain
 
 Kabe Masjid Nahe Gaey Kabe Mandir Nahe Daikha
 Ham To Sirf Tery Naam Ke Azaan Jante Hain
 
 Muslim O Esai Hain Kon Hindo O Yahoudi Hain Kia
 Hamry Liay Itna Hi Boht Hey Ham Ko Insaan Jante Hain
 
 Nafrat Bhari Dunia Mein Sirf Gham O Udasi Hi Miley Gee Aadil
 Chal Khushion Ke Nagar Mein Ham Aisa Ik Jahan Jante Hain
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 