Add Poetry

Tanhai Tanhai

Poet: Zarsh By: Minhal, karachi

Tanhayee Tanhayee
Dil Ke Raaste Mein
Kaisi Thokar Maine Khaayi
Toote Khwaab Saare Ek Mayusi Hai Chhayi
Har Khushi So Gayi Zindagi Kho Gayi
Tumko Jo Pyaar Kiya Maine To Saza Maine Paayi
Tanhayee Tanhayee
Milo Hai Phaili Huvi Tanhayee
Tanhayee Tanhayee
Milo Hai Phaili Hoye Tanhayee

Khwaab Mein Dekha Tha Ek Aanchal Maine Apne Haatho Mein
Ab Toote Sapno Ke Shishe Chubte Hai In Aankhon Mein
Khwaab Mein Dekha Tha Ek Aanchal Maine Apne Haatho Mein
Ab Toote Sapno Ke Shishe Chubte Hai In Aankhon Mein
Kal Koyi Tha Yahin Ab Koyi Bhi Nahin
Ban Ke Naagin Jaise Hai Saason Mein Lehrayi
Tanhayee Tanhayee
Palko Pe Kitne Aansoon Hai Laayi
Tanhayee Tanhayee
Palko Pe Kitne Aansoon Hai Laayi

Kyon Aisi Umeed Ki Maine Jo Aisi Naakaam Huvi
Door Banayi Thi Manzil To Raste Mein Hi Shaam Huvi
Kyon Aisi Umeed Ki Maine Jo Aisi Naakaam Huvi
Door Banayi Thi Manzil To Raste Mein Hi Shaam Huvi
Ab Kahan Jaao Main
Kisi Ko Samjaon Main
Kya Maine Chaha Tha Aur
Kyon Kismat Main Aayi
Tanhayee Tanhayee
Jaise Andhero Ki Ho Gehrayi
Dil Ke Raaste Mein
Kaisi Thokar Maine Khaayi
Toote Khwaab Saare Ek Mayusi Hai Chhayi
Har Khushi So Gayi Zindagi Kho Gayi
Tumko Jo Pyaar Kiya Maine To Saza Maine Paayi
Tanhayee Tanhayee
Milo Hai Phaili Huvi Tanhayee
Tanhayee Tanhayee
Milo Hai Phali Hoye Tanhayee
Tanhayee Tanhayee
Tanhayee Tanhayee

Rate it:
Views: 639
20 Aug, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets