Add Poetry

Teri Yaad Meri Kitaab Ho Naye Saal May

Poet: Mohsin Shaikh By: Mohsin Shaikh, Hyderabad

Teri Yaad Meri Kitaab Ho Naye Saal May
Koi Zakham Phir Se Gulab Ho Naye Saal May

Kaei Barg-E-Sabz B Zard Patton May Urh Gaye
Gaye Musamon Ka Hisaab Ho Naye Saal May

Mein Gubaar Ban K Khalaon May Kahen Ja Chupon
Meri Yun Na Matti Kharaab Ho Naye Saal May

Kisi Be Nawa Ki Nawa Sune Koi Hukhumraan
Kabi Ye B Kaar-E-Sawab Ho Naye Saal May

Koi Abar Aa K Baras Parhe Meri Aankh Se
Kisi Qehet Ka Na Azzab Ho Naye Saal May

Mein Na Jee Sakoon Ga Haqiqaton K Hisaar May
Wahi Khawab Ho Wahi Khawab Ho Naye Saal May

Zara "Baqi" Shah Faqir Pe B Ho Ek Nazar
Zara Uska Dil B Gulab Ho Naye Saal May

Rate it:
Views: 576
15 Jul, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets