Haye! Thar K Hain Ye Bilakte Bachay
Haye! Bhook Se Hain Ye Tarapte Bachay
Kis Se Mangen Ye Zindagi Ka Hisaab
Apni Maon Ki Goud Me Ye Bilakte Bachay
Apni Dunya Me Hi Magan Rehne Wale
Mitti Me Khush Hain Ye Khailte Bachay
Tapte Sehra Ki Tapti Dhoop Me Ye Masoom
Khushk Darkhtoo Ka Saya Hain Ye Laite Bachay
Apne Wuzraa Ki Khush Khuraki Ko
Kis Hasrat Se Hain Ye Dekhte Bachay
Jo Khate Hain Qaihat Me Bhi Murgh Musalam
Un Ki Aqloon Ko Hain Ye Peetaite Bachay
Her Mushkil-O-Pareshani Ko Jaan De Kr Bhi
Hanste Hanste Hain Ye Jhailte Bachay
Kaun Dilaye Ga Ab Inhen Khushiyan Danish
Kitne Dukhon Me Hain Tarapte Bachay