Tm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai
Poet: By: rimsha, WarminghamTm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai
 Jaise Wiran Ho Rahguzar-E-Hayat
 Jaise Khwabun K Rang Phikay Hun
 Jaise Lafzun Se Mot Rasti Ho
 Jaise Sansun K Tar Bikhre Hun
 Tm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai
 Jaise Khushbu Nahi Ho Kalyioun Main
 Jaise Soona Parah Ho Shahr-E-Dil
 Jaise Kuch B Nahi Ho Galiyun Main
 Jaise Khushiyun Se Dushmani Ho Jaye
 Jaise Jazbun Se Ashanai Na Ho
 Tm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai
 Jaise Ek Umar Ki Musafat Pr
 Bat Kuch B Samaj Na Ayi Ho
 Jaise Chup Chap Hun Arzun K Shajar
 Jaise Rukh Rukh K Sans Chalti Ho
 Jaise Be-Nam Ho Duwa Ka Safar
 Jaise Kistun Main Umar Katti Ho
 Tm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai
 Jaise Ek Khof K Jazire Main
 Koi Awaz De K Chup Jaye
 Jaise Hanste Huwe Achanak Hi
 Gam Ki Purwa Se Ankh Bhar Jaye
 Tm Nahi Ho To Aisle Lagta Hai
 Tm Nahi Ho To Aisa Lagta Hai







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 