Tohmaten Tou Lagti Hain
Tohmaten Tou Lagti Hain Roshni Ki Khawhish Main
Ghar Se Bahir Anay Ki Kuch Saza Tou Milti Hai
Loag Loag Hote Hain
In Ko Kia Khabr Janan
Aap K Iradun Ki
Khubsoorat Ankhun Main' Basne Wale
Khawbun K Rang Kese Hote Hain
Dil Ki Goad Angan Main Palne Wali
Batun K' Zakhm Kese Hote Hain , Kitne Gehre Hote Hain
Kab Yeh Soach Sakte Hain
K Aisi Be-Gunah Ankhen
Ghar K Kone Khudrun Main Chhup K Kitna Roti Hain
Phir Bhi Yeh Kahani Se
Apni Kaj-Biyani Se
Iss Qadar Rawani Se Dastan Sunati Hain
Aur Yakeen Ki Ankhen Sach K
Gham-Zda Dil Se Lag K Rone Lagti Hain
Tohmaten Tou Lagti Hain Roshni Ki Khawhish Main
Tohmtoon K Lagne Se
Dil Se Dost Ko Janan' Ab Nidhal Kia Karna
Tohmatoon Se Kia Darna