Jo us ki yad ne muj ko sataya toot k roya
khayal e yar jis halat main aya toot k roya
koi pal b nahi yun to k us ki yad na aye
gale tasveer ko jaise lagaya toot k roya
khabr us ko bhala kaisi k kitna chahta hun main
jo us ka naam likh likh k mitaya toot k roya
wo na waqaf raha jab tak, muje koi gila na tha
magar jaise hi dag e dill dikhaya toot k roya
nahi hain door wo lamhe muje apna bnae ga
tassali jb b dil ko di, bataya toot k roya
kabi NOMAN ki ulfat main koi shak na kar pae
so jab hathun ko masjid main uthaya toot k roya