Dayaar-E-Ghair Say Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhi Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Aasmaan Hila Dete
Hamain Ye Zom Raha Ab K Wo Pukaarain Ge
Unhain Ye Zid Thi K Har Baar Ham Sada Dete
Wo Tera Gham Tha K Taseer Mere Lehje Ki
K Jis Ko Haal Sunaate Usay Rula Dete
Tumhain Bhulna He Awwal Toa Dastaras Main Nahin
Jo Ikhtiyaar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Tumhari Yaad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Aansoo Rahe Sada Dete
Samaa'ton Ko Main Ta-Umr Raha Kosta
Wo Kuch Na Kehte Magar Hont Toa Hila Dete