Kaash K
Hath Bandhey Huey They Kharey They Darakht
Chandni Paon Perh Rahi Thi Mere
Raston Per Sakooot Tari Tha
Shab Ki Ankhon Sey Ashk Jari They
Jugnuon Ney Hazar Minnat Ki
Titliyan Rung Sey Lubhane Lagin
Khushbuen Mehfilein Sajane Lagin
Phool Khushyan Bikherne Mein Magan
Mujh Ko Awaz De Raha Tha Kangan
Sochta Hun Yeh Gher Ko Jate Huey
Sara Mahol Rokta Tha Mujhey
Sarey Mousam Mujhey Bulatey They
Jab K In Sab Sey Dosti Thi Meri
Mein Kisi Haal Mein Nahi Thehra
Mein Kisi Tor Bhi Nahi Manaa
Sochta Hun Yeh Gher Ko Jatey Huey
Tum Sey Rishta Nahi Mager Phir Bhi
Tum Ager Roktin To Ruk Jata
Tum Ager Roktin To Ruk Jata
Kash Me Tere Haseen Hath Ka
Kangan Hota