Tum Apne Hi Feslun Ko
Apni Hi Kahi Batun Ko
Khud Hi Bhula Deti Ho
Khud Hi Jhutla Deti Ho
Tum Hi Ne Kaha Tha Mujh Say
Milna Na Hoga Ab Say
Tum Mujhe Bhul Jana
Apni Qismat Phir Aazmana
Mujhe Raste Main Na Pehchan Lena
Meri Zindagi Ka Na Phir Imtihan Lena
Waada Karo Tum
Qasam Khao Meri
Tum Waade Qasmen Nibhao Ge
Meri Zindagi Main Na Lot Ke Aayu Ge
Mujhe Yaad Hai Aaj Bhi
Na De Rahe Thay Sath Mere Hawas Bhi
Waada Hai Mera Nahi Pehchanun Ga Is Jag Main
Par Tumhain Bhul Jana Nahi Hai Bas Main
Bas Uthte Hoye Kahi Ek Baat
Ijazat Hu Tu Saath Lejaun Tumhari Yaad
Phir Kuch Arsa Hi Hoya Tha Waada Kiye Hoye
Tumhain Bhul Jane Ka Irdaa Kiye Hoye
Par Aaj Mehfil-E-Shehnaii Main
Dhundh Raha Tha Ek Gusha Tanhaii Main
Be Irada Hi Jo Tumhare Samnay Se Guzar Gaya
Mujhe Ilm Nahi Shayad Tumhara Chehra Badal Gaya
Buhat Talkhi Say Pukar Kar Kaha
Kiya Baat Hai Ali
Ab Tum Hamen Pehchante Bhi Nahi