Tum Sey Kia Kahin Jaana
Poet: By: Syed Farrukh Rizwan, LahoreZindagi Key Meyley Mey
 Khuahishon Key Reeley Mey
 
 Tum Sey Kia Kahain Jaana
 Es Kadar Jhameyley Mey
 
 Waqat Ki Rawani Hey
 Bakhat Ki Gerani Hey
 
 Sakhat Bey Zameeni Hey
 Sakhat La-Makani Hey
 
 Hijeer Key Samander Mey
 Takhat Or Takhatey Ki Aik Hi Khaani Hey
 
 Tum Ko Jo Sunani Hey
 Baat Goo Zara Si Hey
 
 Baat Goo Umer Bher Ki Hey 
 Umer Bher Ki Baatain Kab
 Doo Ghaari Main Hoteen Hain
 Dard Key Samander Main
 
 Un Ginat Jazeerey Hain
  Bey Shumaar Mooti Hain
 
 Aankh Key Darichey Mey
  Tum Ney Jo Sajaya Tha
 
 Baat Us Diye Ki Hey
 Baat Us Giley Ki Hey
 
 Joo Lakhoo Ki Khalwat Mey
 Choor Ban Key Aata Hey
 
 Lafaz Ki Faseelon Per
 Toot Toot Jatey Hain
 
 Zindagi Sey Lambi Hey
 Baat Rat Jagey Ki Hey
 
 Raastey Mey Kaisey Ho
 Baat Takhliye Ki Hey
 
 Takhiliye Ki Batoon Main
 Guftugoo Izaafi Hey
 
 Piar Kerney Waloon Ko 
 Ik Nigah Kafi Hey
 
 Ho Sakey Tu Sun Jaoo
 Aik Din Akeelye Main
 
 Tum Sey Kia Kahain Jaana
 Is Kadar Jhameyley Mey






