Tumhe Maloom Hai
Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul hasan, New DelhiTumhe Maloom Hai 
 Jabse Gaye Ho Tum
 Hawaaon Mai Ghutan Mehsoos Hoti Hai
 Kisi Sehme Se Lamhe Ka Nishaan Tak Bhi Nahi Milta
 Rooh Se Youn To Hai Rishta Mera Saari Umar Ka Par
 Mujhe Lagta Hai Jaise Jism Mai Khaali Hai RoohDaari
 
 Tumhe Maloom Hai 
 Jabse Gaye Ho Tum
 Main Tanha Muskurana Bhool Betha Hoon
 Nighaahein Khusk Rehti Hain Na Aansoo Hi Nikalte Hain
 Bohat Jee Chahata Hai Ke Zara Sii Dair Ro Loon Main
 Magar Afsoos Ke Mumkin Nahi Hai Ye
 
 Tumhe Maloom Hai 
 Jabse Gaye Ho Tum
 Koi Jaise Mere Bhitar Adhura Sa Sisakta Hai
 Roz Har Shaam Paidon Pe Udaasi Dekhta Hoon Main
 Parinde Youn To Hote Hain Sabhi Shaakhon Pe Magar Phir Bhi
 Akelepan Ki Tehreerein Mujhe Majboor Karti Hain
 Ke Main Mar Kyun Nahi Jata
 
 Tumhe Maloom Hai 
 Jabse Gaye Ho Tum
 Sabhi Mujhse Khafa Se Hain Ke Jaise Ajnabi Hoon Main
 Na Mere Dost Hain Na Koi Rishta Hai Zamane Se
 Alawa Zakhm Seene Ke Mujhe Koi Kaam Nahi Hai Ab
 Zara Si Dair Ko Aake Chale Jaate Hain Gham Mere
 
 Tumhe Maloom Hai 
 Jabse Gaye Ho Tum
 Main Jeena Bhool Betha Hoon
 
 Tumhe Maloom Hai








