Add Poetry

Tumhin Kis Nay Kaha Pagali

Poet: Zarsh By: Minhal, karachi

Tumhin Kis Nay Kaha Pagli
Mujhay Tum Yaad Aati Ho
Bohat Khush Faham Ho Tum Bhi
Tumharai Khush Gumani Hai
Meeri Ankhonki Surkhi Main
Tumhari Yaad Ka Matlab
Meeray Shab Bhar Kay Jagnay Main
Tumharay Khwaab Ka Matlab
Yah Ankhien To Hameesha Say Hi
Meri Surkh Rehti Hain
Tumhin Malom Hi Hoga
Is Shahar Ki Faza Kitni Aloda Hai
Tu Yah Sozish,,Ussi Fizza Kay Bayes Hai
Tumhin Kis Nay Kaha Pagli
Ka Main Shab Bhar Nahin Sota
Mujhay Is Nokri Kay Sab Jhameelon Say
Kabhi Fursat Milay To Tab Hai Na
Meeri Baaton Main Larzash Hai
Main Aksar Kho Sa Jata Hon
Tumhin Kis Nay Kaha Pagli
Mohabbat Kay Ilawa Aur Bhi To Dard Hotay Hain
Fikar-E-Muaash,Sukh Ki Tlaash
Aisay Aur Bhi Gham Hain
Aur Tum
Un Sab Ghamon Kay Baad Aati Ho
Tumhin Kis Nay Kaha Pagali
Mujhay Tum Yaad Aati Ho
Yah Dunya Walay Pagal Hain
Zara Si Baat Ko Yah To Afsaana Samjhtay Hain
Mujhay Ab Bhi Yah Pagal Tera Dewana Samjhaty Hain
Tumhin Kis Nay Kaha Pagli
Magar Shyed
Magar Shyed Main Jhhota Hon
Main Reeza Reeza ,Toota Hon

Rate it:
Views: 659
15 Aug, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets