✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Ubaid Gabani
Search
Add Poetry
Poetries by Ubaid Gabani
اب تو آ جائے کوئی آ کے نہ جانے والا
میری ہر دکھتی ہوئی رگ کو دبانے والا
آج آیا نہیں کوئی بھی ستانے والا
خوابِ غفلت میں رہیگا کوئی آخر کب تک
آ ہی جائے گا کوئی شخص جگانے والا
لوٹ کے کیوں نہیں پھر آتا مری دنیا میں
قلب کے ہونے کا احساس دلانے والا
خامشی بیش بہا ہے یہ کسے سمجھاؤں
جس کو بھی دیکھیے ہے شور مچانے والا
دوست کی طرح مری زیست میں داخل ہونا
یاد رکھنا میں نہیں ناز اٹھانے والا
میری تقدیر میں لکھا نہیں شاید کوئی
ہر گھڑی اپنے اشاروں پہ نچانے والا
میری چاہت میں چمک تھی نہ کشش تھی موجود
اس کو مطلوب تھا اک شخص خزانے والا
جو بھی آیا ہے مرے پاس وہ واپس لوٹا
اب تو آ جائے کوئی آ کے نہ جانے والا
اپنی تنہائی سے اکتا سا گیا ہوں جاوید
کاش آ جائے کوئی بزم سجانے والا
Ubaid Gabani
Copy
Dekh lo Khwab Magar
Dekh Lo Khwab Magar Khwab Ka Charcha Na Karo
Log Jal Jayenge Sooraj Ki Tamanna Na Karo
Waqt Ka Kya Hai Kisi Pal Bhi Badal Sakata Hai
Ho Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na Karo
Kirchiyan Toote Huye Aks Ki Chubh Jayengi
Aur Kuch Roz Abhii Aaina Dekha Na Karo
Ajanabi Lagane Lage Khud Tumhen Apana Hi Wajood
Apane Din Raat Ko Itana Bhi Akela Na Karo
Khwab Bachon Ke Khilaunon Ki Tarah Hote Hain
Khwab Dekha Na Karo Khwab Dikhaya Na Karo
Be Khayali Mein Kabhi Ungaliya.N Jal Jaayengi
Rakh Guzare Hue Lamhon Ki Kureda Na Karo
Mom Ke Rishte Hain Garmii Se Pighal Jaayenge
Dhoop Ke Shahar Mein Wafa Ki Tamnna Na Karo
Ubaid Gabani
Copy
Chahaton Ke Alm Hum Ne Dekhe
Chahaton Ke Alm Hum Ne Dekhe Hain
Qismaton Ke Sitm Hum Ne Dekhe Hain
Mafhom-E-Dastan Badl Jatey Hain
Lafzon Ke Jurm Hum Ne Dekhe Hain
Aashiyan Jala Kar Muskaratey Hain
Doston Ke Karam Hum Ne Dekhe Hain
Aye Ujalo Kiyun Itna Hanste Ho
Andehron Ke Ghum Hum Ne Dekhe Hain
Chala Tu Uss Nagar Mai Jaon
Raston Ke Khum Hum Ne Dekhe Hain
Ubaid Gabani
Copy
Koi Harf_E_Tasal'li
Koi Harf_E_Tasal'li
Koi Dilasa B Nhy Hey
Es Bharey Shaher Main
Koi Or Shanasa B Nhy Hey
Kabhi Lagta Hey Main Uski
Rooh Main Hun Shamil
Kabhi Lagta Hey Wo Mera
Zara Sa B Nhy Hey
Uski Talab Main Roz_Eshab
Khoon K Ansoon Piyun
Dil Mera Iss Qadar
Piyasa B Nhy Hey
Tarke Taa'luk Ker To Lun
Lekin Yeh Soch K Darta Hun
K Us K Siwa Zindagi Main
Koi Assasa B Nhy Hey
Main Uss Se Door Ho Lun
Yeh Mumkin Hey
Magar Uss K Bina
Jee Paaun Aisa B Nhy Hey
Ubaid Gabani
Copy
نہ خیالِ سود و زیاں رہا
نہ خیالِ سود و زیاں رہا، نہ کسی خوشی کی طلب رہی
ترے بعد کوئی سکوں رہا ، نہ ہوائے شہرِ طرب رہی
مری دھڑکنوں میں*بسی ہوئی ، مرے خُون میں* ہے گُھلی ہوئی
وہ ترے جمال کی تازگی جو مرے جنوں کے سبب رہی
مرے بعد گزری ہے اُس پی کیا، مجھے اُس کی کوئی خبر نہیں
وہ اُجالتی رہی زندگی کہ اسیرِ حلقہء شب رہی
وہ نہیں ہے تو نہیں خود سے بھی کوئی رابطہ کوئی سلسلہ
وہی روز و شب مرے بس میں تھے، مری دسترس میں وہ جب رہی
تُو رہا کسی کی تلاش میں، میں تری تلاش میں گُم رہا
تری جستجو بھی عجیب تھی، مری جستجو بھی عجب رہی
Ubaid Gabani
Copy
Usne Door Rehney Ka Mashvara Bhi
Usne Door Rehney Ka Mashvara Bhi Likha Hai
Saath Hi Mohabbat Ka Wasta Bhi Likha Hai
Usne Yeh Bhi Likha Hai Mere Ghar Nahi Aana
Saaf Saaf Lafzon Meh Rasta Bhi Likha Hai
Kuch Harf Likhay Hai Zabt Ki Nasihat Meh
Kuch Harf Meh Usne Hosla Bhi Likha Hai
Shukriya Bhi Likha Hai Dil Se Yaad Karne Ka
Dilse Dil Ka Kitna Fasla Bhi Likha Hai
Kya Ushe Likhein "Mohsin" Kya Usehkahain "Mohsin"
Jis Neh Kar Ke Bay-Jaan Phir Jaan -E - Jaan Likha Hai
Ubaid Gabani
Copy
Har Adaawat Pe Mohabat Ko Saja Kr Milna
Har Adaawat Pe Mohabat Ko Saja Kr Milna
Rasm-e-Dunia Hai Haqeeqat Ko Chupa Kr Milna
Js Ka Kirdaar Sitaron Ki Trha Roshan Ho
Kitna Dushwaar HY Uss Shakhs Ko Ja Kr Milna
Tm Mohabat Ko B Faraib Smjhty Ho Wasi
Meri to Aadat HY Nigahon Ko Jhuka Kr Milna
Ubaid Gabani
Copy
Wafaa Ka Jo Uss Par Bharm Ho
Wafaa Ka Jo Uss Par Bharm Ho Raha Hai
Seene Mein Kuchh Dard Kam Ho Raha Hai
Zinda Hoon Iska Bharosa Dilaa Do
Khatm Kyon Mujh Par Sitam Ho Raha Hai
Udhar Ka Hai Jabse Kiya Zist Ne Wadaa
Tabhi Se Idhar Kuchh Vaham Ho Raha Hai
Na Paane Ki Mujhko Khushi Mil Rahi Hai
Na Khone Ka Mujhko Koee Gam Ho Raha Ha
Parson Ka Vaada Hai Kerta Anaarhi
Khabar Hai Ke Kal Tu Khatam Ho Raha Hai
Ubaid Gabani
Copy
Mary Hamsafer Mary Ham Nashen
Mary Hamsafer Mary Ham Nashen
Main Na Manga Rab Sa Kuch Nai
Main Na Mangi Jab B Koi Dua
Nahi Manga Kuch Tary Siwa
Ya Talib Kia Ka Mary Khuda
Nay Sal Ki Sam Musaftain
Sab Mohobatain Sab Chahtain
Wo Ata Kary Tumhan Manzalin
Ya Arz Kia K Mary Khuda
Mari Subha B Mari Sham B
Mari Sham Ka Dar-O-Bam B
K Jo Mil Saky Mary Dam B
Wo Ata Kary Tumham Nazalin
Mujhy Mangna To Na A Saka
Phir B Main Na Mangi Jab Koi Dua
Nahi Manga Kuch B Tary Siwa
Nahi Manga Kuch Tary Siwa..
Ubaid Gabani
Copy
Mujh Pay Ye Sham Is Tarah Jadu Sa Kar Gaee
Mujh Pay Ye Sham Is Tarah Jadu Sa Kar Gaee
Phir Teri Yaad Chhor Kar Janay Kidhar Gaee
Aasan To Buhat Hai Tujhay Bhulna Magar
Main Kya Karun Mujhay Teri Aadat Si Par Gaee
Ye Zindagi Bhi Ab Hai Tamasha Bani Hui
Kabhi Ruk Kar Chal Pari Kabi Chal K Thehar Gaee
Lub See Liay Thay Menay Judai K Mor Par
Bus Dekhti Rahi Thi Jahan Tak Nazar Gaee
Teray Liay To Khwaab Tha Wo Guzar Gya
Par Dekh Zara Meri To Zaat Bikhar Gaee
Ubaid Gabani
Copy
Imkaan Bohat Hain
Jin Rahon Pe Ik Umar Tere Sath Raha Hoon
Kuch Roz Se Wo Rastey Sunsaan Bohat Hain
Mil Jao Kabhi Laut Ke Phir Aaun Na Shayad
Kamzor Hoon Main Rah Mein Toofan Bohat Hain
Ik Tum He Nahi Meri Judai Mein Pareshan
Hum Bhi To Teri Chah Mein Viraan Bohat Hain
Ik Tark-E-Wafa Pe Main Usey Kaise Bhula Doon
Mujh Par Abhi Us Shakhs Ke Ehsaan Bohat Hain
Bhar Aayein Na Ankhein To Main Ik Baat Bataun
Ab Tujh Se Bichar Janey Ke Imkaan Bohat Hain
Ubaid Gabani
Copy
Tamaashaa Bana Gaya Ek Shakhs
Bana Gulaab To Kaante Chubhaa Gaya Ek Shakhs
Hua Chiraagh To Ghar Hi Jhalaa Gaya Ek Shakhs
Tamaam Rang Mere, Or Saare Khawaab Mere
Fasana Tha Ya Fasana Bana Gaya Ek Shakhs
Mein Kis Hawa Mein Udhoon Kis Fiza Mein Lehraoon
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bichaa Gaya Ek Shakhs
Palat Sakoon, Na Hi Aage Barh Sakoon Jis Par
Mujhe Ye Kaunse Raaste Par Laga Gaya Ek Shakhs
Muhabbatein B Ajab Uski, Nafratein B Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Mein, Samaa Gaya Ek Shakhs
Mohabbato Ne Kisi Ki Bhulaa Rakha Tha Use
Miley Vo Zakhm, Ke Phir Yaad Aa Gaya Ek Shakhs
Vo Mahtaab Tha, Marham Badast Aaya Tha
Magar Kuch Or Siva Dil, Dukha Gaya Ek Shakhs
Khula Ye Raaz Ke Aainaa Khaana Hey Duniya
Or Is Mein Mujh Ko Tamaashaa Bana Gaya Ek Shakhs
Ubaid Gabani
Copy
سوالنامہ
اے رہبر ملک و قوم ذرا اتنا تو بتادے
چہرہ یہ تمہارا ہے مگر انداز ہیں کس کے
ہم تیری ہر اک بات کو سچ مانیں تو کیسے
لہجہ یہ تمہارا ہے مگر الفاظ ہیں کس کے
ہوتے ہیں یہاں روز ہی"ڈرونوں"کے یہ حملے
دھرتی یہ ہماری ہے مگر بمبار ہیں کس کے
ہم لوگ تو شہادت کو بھی سعادت ہیں سمجھتے
سینہ یہ ہمارا ہے یہ تیر انداز ہیں کس کے
یہ ملک کہ جہاں غربت و جہالت کے ہیں ڈیرے
بیرون ملک نوٹوں کے یہ انبار ہیں کس کے
Ubaid Gabani
Copy
اک لفظ ہے محبت
کئی کہانیاں سی ہیں
بہت پرسوز لمحے ہیں
بہت نادانیاں سی ہیں
کہیں پہ دیپ جلتے ہیں
سویرا ہی سویرا ہے
مدھر روانیاں سی ہیں
اک لفظ ہے محبت
کئی کہانیاں سی ہیں
پیار کی ندیا بہتی ہے
ساحل شور مچاتے ہیں
ساتھ دکھوں کی برکھا ہے
عجب کہانیاں سی ہیں
اک لفظ ہے محبت
کئی کہانیاں سی ہیں
پھولوں میں کئی رنگ
رنگوں میں پھیلی خوشبو
ان میں بسا ہے چہرا تیرا
خوشبو کی روانیاں سی ہیں
اک لفظ ہے محبت
کئی کہانیاں سی ہیں
Ubaid Gabani
Copy
Take My Hand n Lead Me
Take My Hand n Lead Me
From This Place.
Chase Away My Doubts n Fears,
Wipe The Tears Off From My Face,
I Cant Stand Alone
I Need Your Hand To Hold
Take My Hand n Lead Me
From This Place.
Chase Away My Doubts n Fears,
Wipe The Tears Off From My Face,
I Cant Stand Alone
I Need Your Hand To Hold
Ubaid Gabani
Copy
Jayenge Door Tak Jo Khayalo'n K
Jayenge Door Tak Jo Khayalo'n K Silsilay
Khud Unsay Aa Milengay Ujalo'n K Silsilay
Kutch Isliye Bhi Ho Gaye Ghosha Nasheen Ham
Hadd Se Hi Barh Chalay Thai Sawalo'n K Silsilay
Fursat Nahee'n K Pursishay Ahwaal Kar Sakay
Ham Jantay Hain Bhoolnay Walo'n K Silsilay
Raah E Wafa Katthan Hai Sambhal Kar Chalo Yaha'n
Lamho'n Mai Toot Jate Hain Saalo'n K Silsilay
Dunya Teray Faraib Mai Aanay K Ham Nahee'n
Ham Ne Bohot Parhain Hain Risalo'n K Silsilay
Muddat K Baad Aaye Hain Ghar Ko Jo Laut Kar
Paye Hain Muntazir Wahee Jalo'n K Silsilay
Tai Jab Talak Na Ho Ye Bayaban E Zindagi
Pairo'n K Sath Sath Hain Chhalo'n K Silsilay
Ubaid Gabani
Copy
Dil Hijar K Dard Sai Bojhal Hai
Dil Hijar K Dard Sai Bojhal Hai
Aab Aan Milo To Behtar Hai
Is Baat Sai Hum Ko Kya Matlab
Yeh Kesay Ho Yeh Kyun'kar Ho
Ik Bheek K Dono Kas'sey Hain
Ik Pyaas K Dono Pyaasay Hain
Hum Khaiti Hain, Tum Baadal Ho
Hum Nadiya Hain Tum Saagar Ho
Yeh Dil Hai K Jalte Seene Mein
Ik Dard Ka Phorra Alhar Sa
Na Gupt Rahe Na Phoot Bahe
Koi Marham Ho Koi Nishtar Ho
Hum Saanjh Samay Ki Chhaaya Hain
Tum Charrhti Raat Ki Chandarmaa
Hum Jatey Hain Tum Aye Ho
Phir Mail Ki Soorat Kiyoonker Ho
Ubaid Gabani
Copy
Main Muqeem Hoon
Main Muqeem Hoon Dard Key Jazeray Ka
Jiss Key Gird
Teri Yaad Ka Ik Bay-Kran Sumander Hai
Umeed Kii Chand Tooti Kashteyaan Khari Hain
Jis K Weran Sahil Per
Aur Wo Aasman
Jis Main Kabhi Meri Parwaz Key Charchy Thay
Takta Rehta Hai Mujhe
Apny Tooty Howe Proun Main Chup K Rota Howa
Shyed Main Paida Howa Hoon
Ik Musafir Ka Muqadder Ley Ker
Jis Ke Qismat Main Koi Manzil Nahi
Bas Ik Musaffet Hai ...
Teri Yaad Sy Ley Ker Dard Tak
Aur Dard Sy Ley Ker Teri Yaad Tak
Ubaid Gabani
Copy
Ek Beikassi Hai
Ek Beikassi Hai Hijr Ke Maaron Ke Saath Saath
Toota Hai Meira Dil Bhi Sahaaron Ke Saath Saath
Jee Bhar Ke Deikhan'e Bhi Na Paay'e They Chup Gaey
Armaan Bhi Hain Udaas Nazaaron Ke Saath Saath
Dil Mein Wafur E Shauq Ka Toofaan Liy'e Hue'e
Khaamosh Jaagtaa Hoon Sitaron Ke Saath Saath
Itni Tou Mahviyat Ho Tasavvur Mein Ter'e Dost
Khud Ko Bhi Bhool Jaaun Nazaaron Ke Saath Saath
Yahya Ye Aag, Ishq Ki Phir Bhi Na Bujh Saki
Hai Dil Mein Ashk- E- Gham Bhi Shararon Ke Saath Saath
Ubaid Gabani
Copy
Woh Jisay Samhajtay Thay Zindagi
Woh Jisay Samhajtay Thay Zindagi
Meri Dharkano Ka Faraib Thaa
Mujhay Muskrana Sikha K Wo
Meri Rooh Tak Ko Rula Gaya
Wo Jisko Panay Ki Chah Main
Main Kabhi Khilta Gulab Tha
Meri Patti Patti Bikhar Gaye
Mujhay Esi Thokar Laga Gaya
Ajab Shakhs Tha Vo Aye Zindagi
Usay Samhaj Ker B Na Samhaj Sakay
Mujhay Chahata B Ghazab Ka Thaa
Mujhay Chor Ker B Chala Gaya
Ubaid Gabani
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets