Umar Bhar Ki Chahat Ke Bharam_E_Andaz Badal Jate Hain
Ik Doojay Par Marne Wale Dawadaron Ke Naaz Badal Jate Hain
Zindagi Kabhi Bhi Aik Dagar Par Nahi Chalti
Har Morr Par Jeene Ke Andaz Badal Jate Hain
Kabhi Jein Ge Na Bin Tere Ye Wada Raha
Agle Pal Yahi Alfaz Badal Jate Hain
Kisi Tour Nahi Rukti Darya Ki Rawani Kabhi
Bhaly Barishon Ke Barasne Ke Jawaz Badal Jate Hain
Har Rutt Mein Chhaon Dena Kab Hai Shajar Ke Bas Mein
Khizaan Aate Hi Pairon Ke Aezaz Badal Jate Hain
Dost To Dost Apni Parchhai Tak Ka Nahi Bharosa
Dhoop Chhaon Ke Mizaj Taley Akas Dabeez Badal Jate Hain