Kaaiinaat Mein Nahiin Milti, Mujhe Us Jaisii Kaafiir Aankhen
Hazaar Aankhoon Men Dekheen Mushaahbateen Us Jaisii
Khaaliiq Ney Kyaa Ban,aeen Hain Us Kii Gehrii Aankhen
Un Aankhoon K Khoo Jaaney K Baad Khaak Hain Merii Aankhen
Merii Hastee Hii Talab-Gaar Thee, Us Kii Kaamiil Aankhen
Apnii Aankhoon K Katoroon Men Chupaa Rakhii Hain Us Kii Aankhen
Be-Chain Hoo Kar Tak Rahii Hain, Us Kii Waapsii Kii Raaheen
Mein Ney Beechii Hain Baazaar-e-Muhabbat Men Apnii Khabt Aankhen
Us Kii Deed Ko Taras Rahii Hain Merii Muntaziir Aankhen
Bhugat Rahii Hain, Khamyaazaa Wafaa Ko Nibhaane K Lie Merii Aankhen
Mein Jab Bhii Doub Kar Dekhtii Thee Wo Jamaal Aankhen
Kehta Thaa Jaan-e-Zindagii Hain Merii, Lakin Merii Bardasht Nahi Terii Aankhen
Firaaq K Baad Sey Keefiyat-e-Kam- Khawaab Hain Merii Aankhen
Us Kii Deed K Lie Kaasaa-e-Gadaaii Hain Merii Aankhen