Zikr-E-Shab-E-Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Usay Bhi Thi
Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehroon K Deed Ka
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi
Us Raat Dair Tak Who Raha Mahv-E-Guftagu
Masruf Main Bhi Kam Tha Faraaghat Usay Bhi Thi
Sunata Tha Who Bhi Sab Se Puraani Kahaniya
Taza Rafaqaton Ki Zarorat Usay Bhi Thi
Mujh Se Bichhar K Sheher Main Ghul Mil Gaya Who Shakhs
Halan K Sheher Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Who Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha, Jee Gaya
Warna Har Ek Saans Qayamat Usay Bhi Thi
"Kaash" Na Jaan Khud Ko Nakam K Bad-Zauq
Who Mana Nahi Par Tujh Se Muhabat Usay Bhi Thi