Usey To Paas_E_Khuloos_E_Wafa Kuch Bhi Nahi
Magar Ye Aas Ka Rishta Ke Toot'ta Bhi Nahi
Ghirey Huwe Hain Khamoshi Ki Barf Mein Kab Se
Kisi Ke Paas Koi Tesha_E_Sada Bhi Nahi
Tulo_E_Subah Azal Se Main Dhoondta Tha Jise
Mila To Hai Par Meri Simat Dekhta Bhi Nahi
Meri Sada Se Bhi Raftar Tez Thi Us Ki
Mujhe Gila Bhi Nahi Hai Jo Wo Ruka Bhi Nahi
Bikhar Gayi Hai Nigahon Ki Roshni Warna
Nazar Na Aaye Wo Itna To Fasila Bhi Nahi