Add Poetry

Ustaad ka Ehtaraam

Poet: Sidra Naz By: Sidra Naz, Riyadh,Saudi Arabia

Kis Cheez Ki Kami Hoti Faqat Taleem Agar Na Hoti?
Dunya To Bani Hoti Han Zeest Magar Na Hoti,

Kis Tarah Jaan Patey Rab Ko,Kia Pehchan Pate Rab Ko?
Kia Hasool-E-Zindegani Hota, Kia Dhoond Pate Sabab Ko?

Aaj Mera Mozu-E-Fiqr Khuda Ki Rehmat Hai,
Jis Ka Tazkara Ab Kahin Nahin Hota Us Shakhs Ki Azmat Hai,

Jo Hamein Parhata Hai Khud Wahin Reh Jata Hai,
Parwaan Charh Jane K Baad Tu Usi Ki Pehchaan Bhool Jata Hai,

Kuch Na Do Tum Un Ko Aitaraaf To Karo Is Ka,
Ahsan Hai Bara Tujh Pe, Ehtaraam To Karo Un Ka,

Wo Rahein Kyun K Un Zaroorat Sada Hamein Rahegi,
Agar Bhatkein Gay Hm Kahin To Kis Ki Roshni Rasta Banegi,

Dua Aaj Un K Lyn Jin Se Hamesha Duaon Ka Ilhaam Hai,
Sila Hm Kia De Paingay?Magar Khuda K Han Uncha Maqaam Hai...
 

Aaj Mein Us Shakhsiat Ka Zikr Krne Jaa Rahi Hun Jis K Ba'is Hm Is Dunya Mein Sar Utha Kar Jine K Qabil Hue Hain Yani K "Ustaad".
Wo Ustaad Jo Hamein Likhna, Parhna Aur Bolna To Sikha Dete Hain Lekin Ham In Alfazon Ka Istemaal Kabhi Un Ki Izzat-O-Takreem Bayaan Krne K Lyn Nahin Krte..
Balkey Har Guzarta Lamha Hamein Hamare Ustadon K Naam Tak Bhula Deta Hai Mahaz Chand Khush Gawaar Yadein Reh Jati Hn Lekin Ahista Ahista Wo Bhi Dhund-Laney Lagti Hain,Yadon K Aine Per Waqt K Sath Aisi Gard Jam Jati Hai Jis Ko Saaf Krne Ki Fursat Aap K Ya Mere Paas Nahin Hoti. Aur Ek Din Hm Un Ainon K Peeche Chupe Chehron Ko Bhool Jate Hain Jin Se Hamari Hayat Roshan Hoti Hai.....

Aik Choti Si Koshish Nai Nasal Ko Ustaad Ka Ehtaraam Dobara Yaad Dilane K Lyn,

Dedicated To My Teacher "Sir. Badar"

Rate it:
Views: 21656
25 Apr, 2012
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets