Tere Na Hone Se Kuch Bhi Nahin Badalta
Yeh Suraj Bhi Wahin Se Nikalta Hai
Aasman Pe Taare Bhi Chamakte Hain
Or Chand Ki Chandni Bhi Hoti Hai
Hawa Bhi Chalti Hai
Darya Bhi Behti Hai
Phool Bhi Khilte Hain
In Mein Khushboo Bhi Hoti Hai
Lekin
Na Jane Kyun Tere Na Hone Se
Har Cheez Adhuri Si Lagti Hai
Har Subah Shaam Si Lagti Hai
Har Muskaan Udaas Si Lagti Hai
Har Mehfil Anjan Si Lagti Hai
Har Dhadkan Be-Jaan Si Lagti Hai
Sach Tho Yeh Hai Saari Dunya Veeran Si Lagti Hai