Pal Mein Tola, Pal Mein Masha Hua
Uff, Na Jane Is Dil Ke Saath Kya Kya Hua
Qadam Dag-magane Lage Jab Zindagi Ki Dhoop Mein
Apne Hi Nazro Ke Saamne Kya Kya Namudar Hua
Bazar-e-Waqt Se Kuch Pal Hansi Ke Kharid Lu
Qeemat Mili Bhi Aisi Ke Khud Se Sharam-sar Hua
Barso’n Baad Bhi Aisa Laga Ke Hum Wahi Khade Hain
Badalte Waqt Ke Saath Hamse Kitna Intezar Hua
Saath Chodh Ke Chaldena Unki Fitrat Na Thi
Na Jaane Mujh Pe Ye Zulm Kyun Baar Baar Hua
Lakeero’n Se Banta Hai Ghar, Lakeero’ Se Bat-ta Hai Ghar
Bikhre Huey Guncho’n Ko Sametna Bhi Ab Dushwar Hua
Waqt Bura Ho Ya Acha, Ek Din Badalta Zarur Hai
Ab Dushmano se Zyada Dosto’n Ka Hum Pe Waar Hua
Drya-e-Shakir Bhi Kuch Kaam Na Aaya Ehl-e-Chaman Ke Liye
Unka Qatra Bahana Bhi Shahido’n Mein Shumar Hua