Har Khushi Hai Logon K Daman Mein
Par Ek Hansi K Liye Waqt Nahi
Din Raat Dourhti Duniya Mein
Zindagi K Liye Hi Waqt Nahi
Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi
Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti K Liye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno K Liye Hi Waqt Nahi
Aankhon Me Hai Neend Bari
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi
Paison Ki Dour Me Aise Doure
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadar Karein
Jab Apane Sapno K Liye Hi Waqt Nahi
Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
K Har Pal Marne Walon Ko
Jeene K Liye Bhi Waqt Nahi