Add Poetry

Wehshat

Poet: nasir kazmi By: umair , rawalpindi

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi

Ay Dil Kise Naseeb Ye Taufeeq-e-Iztiraab
Milti Hai Zindagi Main Ye Raahat Kabhi Kabhi

Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi

Josh-e-Junoon Main Dard Ki Tugyaniyon K Saath
Ashkon Main Dhal Gai Teri Suratki Kabhi Kabhi

Tere Qareeb Reh k Bhi Dil Mutmayin Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi

Kuch apna Hosh Tha Na Tumhara Khayaal Tha
Yun Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi

Ay Dost Ham Ne Tark-e-Muhabbat Ke Bawajood
Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi Kabhi
 

Rate it:
Views: 511
30 Jan, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets