Wo Din Na Rahe Wo Ratein Na Rahi Wo Ham Bhi Na Rahe
Ahsin Ab Ki Bar Youn Huwa Ke Dehliz Pe Apni Gam Bhi Na Rahe
Kis Dar Se Payn Ab Roz-e-Hijar Se Najat
Is Nagri Me Ahsin Apne To Hamdam Bhi Na Rahe
Kiya Hota Gar Khatm-e-Hayat Ke Din Kuch Kam Reh Jaty
Haay Afsos Ahsin Bad-Nasibi Ye Ke Din Kam Bhi Na Rahe
Sabhi Ronqein Chheen Gaya Wo Shakhs Meri Aankhon Sey
K Be-Basi Ka Ye Aalm Ahsin Aankh Nam Bhi Na Rahe
Azala Diya Kisi Ki Wafa Ka Youn Bhi Ham Ny
Apne Aap Pe Ahsin Apni Zaat Ke Karam Bhi Na Rahe
Mana K Behshat Ka Haqdar Nahin Hun Ahsin
Magar Banda-e-Deegri Nahin Jo Jahnam Bhi Na Rahe