Ankhon Ka Rang Baat Ka Lehja Badal Gaya
Wo Shakhs Ek Sham Mein Kitna Badal Gaya
Kuch Din To Mera Aks Raha Aiena Pe Naqsh
Phir Yoon Hova Ke Khod Mera Chehra Badal Gaya
Jab Apne Apne Hal Pe Hum Tum Na Reh Sake
To Kia Hova Jo Hum Se Zamana Badal Gaya
Qadmon Tale Jo Reet Bechi Thi Wo Chal Pari
Os Ne Churaya Hath To Sehra Badal Gaya
Koi Bhi Cheez Apni Jagh Per Nahi Rahi
Jate Hi Ek Shakhs Ke Kia Kia Badal Gaya
Herat Se Sare Lafz Ose Dekhte Rahe
Batoon Mein Apni Baat Ko Kaise Badal Gaya
Shaid Wafa Ke Kheel Se Ukta Gia Tha Wo
Manzil Ke Paas Aa Ke Jo Rasta Badal Gaya
Ankhon Mein Jitne Ashk The Jugno Se Ban Gaye
Wo Muskarya Aur Meri Dunia Badal Gaya