Add Poetry

Wo Shakhs To Chaand Ka Tukra Tha

Poet: Nosheen' Ajnabi By: Nosheen Ajnabi, lahore

Chal'ajnabi'aik Ghazal Banate Hein
Apne Labon Ko Aj Phir Se Sajate Hein
Apne Mehboob Ki Yaad Ko Taza Karte Hein
Guzri Yaadon Ki Phir Se Zanjeer Hilate Hein
Wo Chaand Sa Ik Tukra Tha
Phir Milna Chandani Raton Mein
Phir Had Kar Dena Baton Mein
Phir Pyar K Geet Sunata Tha
Wo Shakhs To Chaand Ka Tukra Tha
Ik Roz Phir Wo Lot Kar Na Aya
Na Jane Kya Us K Dill Mein Khyaal Aya
Par Mein Aaj Bhi Un Chandani Raton Mein
Intazar Usi Ka Karti Hoon
Kho Kar Phir Un Baton Mein
Talaash Usi Ko Karti Hoon
Dill Mein Aaj Bhi Ik Umeed Baki He
Wo Shakhs Dubara Aye Ga
Dill Mein Pyaar K Gull Khilaye Ga
Wo Phir Se Mera Ho Jaye Ga
Dekh Lena Wo Shakhs Dubara Aye Ga
Wo Shakhs To Chaand Ka Tukra Tha
Such Wo Shakhs To Chaand Ka Tukra Tha
 

Rate it:
Views: 524
13 Oct, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets