Woh Janti Thi Magar Phir Bhi
Poet: haseeb By: haseeb, karachiWoh Janti Thi Magar Phir Bhi
 Woh Janti Thi
 K Wafaa Ka Ajar Nhi Hota
 Muhabbaton Main Sabar Ka Samar Nhi Hota
 Woh Janti Thi
 Muhabbat Dukhon Ka Sehraa Hai
 Jahan Seraab Si Khushiyan Hain
 Aur Azaab Se Ghum
 Jahan Hai Pyaas JUDAI Ki Betahasha Magar
 Millan Ki Barishein Hoti Hain Jis Dyar Main Kam
 Woh Janti Thi
 Muhabbat Khiraaj Mangti Hai
 Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo De K Jagmagaya Ho
 Andheri Rah K Liye Woh Chirag Mangti Hai
 Woh Janti Thi
 Muhabbat Woh Reguzar Hai Jahan
 Biche Hain Kaanch JUDAI K Beshumaar Magar
 Brehna-Pa Hi Inhein Paar Kerna Perta Hai
 Ghumon Ki Dhoop Main Ab Saibaan Koi Na Ho
 Kisi Yaad Ki Chadar Ko Taan Ker Khud Per
 Tammam Aahein Daba Ker Guzarna Perta Hai
 Woh Janti Thi
 K Wafaa Ka Ajar Nhi Hota
 Mohabbat Main Sabar Ka Samar Nhi Hota
 Hijar Ki Rah Main Hoti Hai Betahasha Ghutan
 Wahan Kabhi Bhi Hawa Ka Guzar Nhi Hota
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 