Add Poetry

Woh Jo Badla To Aaya Ye Khayal

Poet: Maryam Ikhlas By: Maryam Ikhlas, Karachi

Woh Jo Badla To Aaya Ye Khayal
Muhabbat Main Uski Junoon Tha Kasa?
Wo Meri Barhami Pe Uska Tarapna
Wo Meri Hassi Se Uska Khush Hona
Kahan Kho Gai Us Ki Wo Tarap
Kahan So Gai Us Ki Woh Khushi
Meri Udasi Ki Na Rahi Usay Parwah
Meri Khamoshi Ki Nahi Janna Chahta Woh Wajah

Woh Jo Badla To Aya Ye Khayal
Kase Bhula Dalay Wo Sab He Wa'aday
Wo Zindagi Bhar Sath Nibhane Ki Qasmain
Wo Pakizah Muhabbat Ki Haseen Rasmain
Wo Mamoli Baat Pe Roothna Uska
Uske Roothna Pe Bechain Hona Mera
Wo Aik Aanchal Talay Zindagi Guzarne K Sapnay
Aik Muhabbat Ki Wajah Se Thay Hum Buhat Apnay

Wo Jo Badla To Aya Ye Khyal
Kahta Tha Main Hun Uski Kul Kainat
Khushi Dene Wali Baad-E-Ilahi Hun Aik Zaat
Kase Ab Sukoon Se Jeeta Hai Woh?
Subha Uth K Ab Naam Kis Ka Leta Hai Woh?
Lamha Lamha Guzarna Jis K Bina Tha Na-Mumkin
Ab Us Ke Bina Kasay Khush Rahta Hai Woh?

Wo Jo Badla To Aaya Ye Khyal
Koi Mil Gaya Usko Or Bhool Gaya Wo Mujh Ko?
Thaam Lya Hath Uska Or Chal Para Kahin Ko?
Kya Raqeeb Ki Qurbat Ne Bhi Usay Yaad Na Delaya
Ya Meri Yaad Ko Thapki Dekar Sulaya
Wo Jo Badla To Aaya Ye Khyal
Wo Jo Badla To Aaya Ye Khyal
 

Rate it:
Views: 481
02 May, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets