Woh Khaloos Tha
Poet: Bilal By: Bilal, FAISALABADWoh Khaloos Tha Ke Khumar Tha 
 Woh Janoon Tha Ke Saraab Tha 
 
 Mujhey Sochney Mein Zamana Laga 
 Mujhey Manzilon Ne Bhoola Diya 
 
 Mujhey Jis Masiha Pe Maan Tha 
 Mujhey Us Ne Sooli Charha Diya 
 
 Kai Humsafar Kai Rahguzr 
 Mujhey Rastey Mein Miley Magar 
 
 Meri Tushnagi Kuch Aur Hai 
 Meri Justajoo Koi Aur Hai 
 
 Woh Jo Roshni Ki Tarha Barhey 
 Magar Ansuon Mei Sama Sakey 
 
 Jo Subha Ki Pehli Kiran Bane 
 Mere Dil Ka Aangan Nikhaar De 
 
 Jo Muhabbaton Ki Ravaytein 
 Lahoo Ki Bali Se Sanwaar De 
 
 Mujhey Us Wafa Ki Talaash Hai 
 Mujhey Us Wafa Ki Talaash Hai 
 
 Magar Is Jahan-E-Kharab Mein 
 Yahan Khawaishon Ke Saraab Mei 
 
 Mujhey Kaun De Aisiy Wafa 
 Mein Kahan Se Laoon Woh Wafa 
 
 Inhi Uljhanon Mein Ghira Huwa Hun 
 Yehi Sochta Main Chala Geya
More Sad Poetry






