Bikhar K Yaad Ayaa Saath Nibhana Uss Ka
Anayet Thee Mujhay Rolana Uss Ka
Wajib Thaa Sitam-Ay-Judaai Bhi Girana
Dill Say Rishta Thaa Bohat Purana Uss Ka
Aaj Phir Dill Nay Uss Ka Naam Pukara
Phir Yaad Ayaa Bicharr K Jana Uss Ka
Aaj Kirchio'n Mein Meri Zaat Talaash Karta Hy
Kal Lazim Thaa Mujhay Azmana Uss Ka
Lehjaa Hi Alag Thaa Uss Ka Warna
Chehra Thaa Bohat Jana Pehchana Uss Ka
Woh Meray Saath Thaa Meri Tarha
Khud Faramosh Thaa Dill Ko Behlana Uss Ka
Talkhi-Ay-Zehar Hy Uss Ki Yaad Ka Aana
Kitna Dushwaar Hy Naam Bholana Uss Ka
Woh Jo Aaj Nigah Churaa K Guzraa Hy
Kabhi Rozz Thaa Milna Milana Uss Ka
Issi Uljan Mein Aanchal-Ay-Shab Guzar Jata Hy
Kaisay Mumkin Hy Ab Lout K Aana Uss Ka
Yeh Kia Amber Rozz Ussi Ki Yaad Ka Aana
Shab-O-Rozz Dill Ko Jalana Uss Ka