Add Poetry

Yaad Hai, Na Kuch Gumaan-E-Hijr

Poet: lost Soul By: HASEEB, KARACHI

Yaad Hai, Na Kuch Gumaan-E-Hijr Hai
Ye Bhi Shayad Imtehaan-E-Hijr Hai

Wo Jo Bichra Hai To Hai Jaan Par Bani
Haan Magar Wo Hi To Jaan-E-Hijr Hai

Hai Mujhe Wehshat Jo Apne Aap Se
Rog Kab Hai, Ye To Shaan-E-Hijr Hai

Neem-Shab Karni Hain Girya-Zaariaan
Aao Deewaano! Azaan-E-Hijr Hai

Wo To Mere Chaar-Su Hai Jalwa-Gar
Kiyun Bhala Mujh Ko Gumaan-E-Hijr Hai!

Dard Le Lo! Ashk Le Lo! Khwaab Lo!
Muft Hai Sab, Ye Dukaan-E-Hijr Hai

Zulm Ye Hai, Jo Gavaah-E-Vasl Thi
Ab Wohi Shab Raazdaan-E-Hijr Hai

Ishq Ka Qissa Wohi Hai Jaavidaan
Asl Mein Jo Daastaan-E-Hijr Hai

Saath HASEEB K Mana Lo Shaam-E-Gham
Sar Dhuno Yaaro! Bayaan-E-Hijr Hai
 

Rate it:
Views: 1024
24 Apr, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets