Ye Behanen Kaisi Hoti Hain
Ye To Pholoon K Jaisi Hoti Hain
Ye Sukh Mein Sath Hoti Hain
Ye Dukh Mein Saath Detii Hain
Ye Behnean To Aesi Hoti Hain
In Jaisa Nahin Koi Or, Hai Rishta Is Dunia Mein
Ye Dukh Sukh Ki Saathi Hoti Hain
Ye Taptii Dhoup Mein Aik Chaaun Ka Ehsaas Hoti Hain
Ye Sehraa Mein Thandi Hawa Ka Jhonka Hoti Hain
Hansti Rahen Ye Jahaan Bhi Rahen
Rab! Tuu Kabhi Na Dena In Kii Aankh Mein, Koiaansuu
Rahen Ye Sadaa Youn Hee Muskuratii
Ye Behanen Buhat Hee Pyarii Hoti Hain
Aangan Mein Titlioon Ki Jaisi Hoti Hain
Paharoon Per Parioon Ki Jaisi Hoti Hain
Behanen Badi Hamraaz, Badi Ghamgusaar Hoti Hain
Behanen Heeroon Kaa Haar Hoti Hain
Behanen Diloon Kii Jaan Hoti Hain
Baabul K Aangan Kii Khushiaan Hoti Hain
Maa Kii Aankhon Ki Thandak Hoti Hain
Bhai K Pyaar Kaa Maan Hoti Hain
Ye Gulshan Kaa Haseen Phool Hoti Hain
Aik Ko Kaanta Chubhey To Dard Se Baqi Bhi Tarapti Hain
Ye Behanen Aesi Hoti Hain
Ye Behanen Buhat Hee Pyaari Hotii Hain
Jb Ye Sath Hoti Hain Babul Ka Angan Mehak Sa Jata Hai
Jb Ye Doli Mein Beth Kar Rota Chor Jati Hain
To Dousrey Aangan Ko Mehkaati Jaati Hain
Ye Behanen Aesi Hoti Hain
Ye Behanen Buhat Hee Pyaari Hoti Hain