Ye Zaray Jin Ko Khak_E_Rah_E_Manzil Samajhty Hain
Zuban_E_Haal Rakhty Hain, Zuban_E_Dil Samajhty Hain
Jisay Sub Log Husun_O_Ishq Ki Manzil Samajhty Hain
Buland Us Se Bhi Hum Apna Muqam_E_Dil Samajhty Hain
Haqeeqat Mein Jo Raz_E_Doori_E_Manzil Samajhty Hain
Unhi Ko Hum Salok_E_Ishq Mein Kamil Samajhty Hain
Hamein Wo Kiya Jafa_E_Khas Ke Qabil Samajhty Hain
Ye Raz_E_Dil Hai, Is Ko Mehraman_E_Dil Samajhty Hain
Issi Aik Jurm Par Aghyar Mein Barpa Qayamat Hai
Ke Hum Bedaar Hain Aur Apna Mustaqbil Samajhty Haina
Nigahon Mein Kuch Aisy Bas Gaye Hain Husun Ke Jalway
Koi Mehfil Ho Lekin Hum Teri Mehfil Samajhty Hain
Koi Maany Na Maany Is Ko Lekin Ye Haqeeqat Hai
Hum Apni Zindagi Mein Ghaib Ko Shamil Samajhty Hain
Ye Narm_O_Natawan Mojein Khudi Ka Raaz Kiya Janen
Qadam Lety Hain Toofan, Azmat_E_Sahil Samajhty Hain
Hakoomat Ke Mazalim Jab Se In Aankhon Ne Dekhy
Jigar Hum Bumbai Ko Koocha_E_Qatil Samajhty Hain