Girtey Girtey Aajayega Sambhalna Ek Din Tumhein
Saaqi Ye Zindagi Hai, Tera Maikhana Nahi
Ye Bikhri Hui Zulfein, Ye Maathey Par Shikan
Aisa Lagta Hai Tumhare Ghar Aaina Nahi
Bhatak Rahi Hai Zindagi, Kisi Manzil Ki Talash Mein
Aisa Lagta Hai, Is Zamee’n Pe Mera Koi Aashyana Nahi
Shab-o-roz Takrati Hain Lehrein Chattano Se
Aisa Lagta Hai, Sahil Ke Bardasht Ka Koi Paimana Nahi
Be-Fikr Baithey Hain Ishq Mein Dubey Huey Nau-Jawa’n
Aisa Lagta Hai, In ki Zindagi Ka Koi Thikana Nahi
Haya ka Daman Chodhne Mein, Unhe Ek Pal Na Laga
Aisa Lagta Hai, Ye Is Daur ka Koi Fitna Nahi
Wo Lakh Chupaye’n Apne Aib Ko Dunya Se Magar
Aisa Lagta Hai, Unho Ne Padha Apna Fasana Nahi
Yaha Kabhi Apna, Kabhi Dusro’n Ka Tamasha Banta Hai
Aisa Lagta Hai, Ye Zindagi Ka Koi Karkhana Nahi
Aye Qadam Ruk Ruk Ke Chal, Kadi Dhoop Hai
Aisa Lagta Hai, Is Jaha’n Mein Koi Shamyana Nahi
Kaise Gu zrey They Pal, Unsey Door Reh Kar
Aisa Lagta Hai Shakir, Tumhein Yaad Wo Zamana Nahi