Yeh Zindage Ka Safar Tha Kabhi Buhat Dushwar
Huwa Hai Abb Bhi Aasan Teri Rifaqat Se
Ya Rab Humein Talash Kisi Hum Safar Ki Thi
Laiken Yahan To Koi Na Apna Dekhae De
Har Gam Teri Yaad Mein Saath Saath Thi
Mein Dekhne Mein Yun To Akela Safar Mein Tha
Kisi Ko Gher Se Nikalte Hi Mil Gai Manzil
Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Mein Raha
Mein Ne Kaha Tha Aag Ka Darya Hai Zindage
Abb Hum Safar Bane Ho To Himmat Se Kaam Lo
Safar Ka Saath Hai Yeh Manzilon Ka Saath Nahi
Guzar Hi Jaen Ge Lamhe Hisab Rehne Do
Woh Log Uth Gaye Jin Se Saroon Per Saaya Tha
Jo Hum Safar Hain Woh Pehle Se Maherban Na Tha
Taweel Ho Na Kahien Apni Chahaton Ka Safar
Suna Hi Ahl-E-Talb Umar Bhar Tarapte Hain