Yoonhi Awaargi E Shaoq Main Tanha Aksar
Ye Sochta Hoon Ke Jee Loon Tujhay Jeewan Keh Ker
Keh Dil Ki Saari Khwahishaat Teray Naam Karoon
Keh Teri Aarzoo Ko Apna Muqaddar Keh Loon
Yoonhi Awaargi E Shaoq Main
Yeh Sochta Hoon Keh Tujh Se Nasha Hai Zindgi Ka
Teray Hi Dam Se Hai Mekhaana E Dil Main Raonaq
Teri Muskaan Hay Tarana Meri Bekhudi Ka
Main Khali Haath Teri Mehfil E Nishat Main Hoon
Agar Bura Na Lagay Tu Ai Saaqi E Maqtal
Teri In Sokh Nogahon Ko Hi Saghar Keh Loon?
Yoonhi Awaargi E Shaoq Main
Yeh Sochta Hoon Keh Shyed Tu Mil Na Pai Kabhi
Magar Main Bi Tu Bahaaron Ka Tamannai Nhin
Keh Jis Ke Baad Khizaaon Ki Chalay Khushk Hawa
Main Tu Raaton Ko Suboh Se Azeem Tar Jaanoon
Keh Jo Rakhti Hain Qaim Rooh Main Ummeed E Saba
Kiyoon Na Sochon Bhari Iss Raat Main Janaan Main Bhi
Teay Milnay Ke Takhayyul Ko Hi Sahar Keh Loon
Yoonhi Awaargi E Shaoq Main