Add Poetry

Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Koi

Poet: mohammed masood By: mohammed masood, meadows nottingham uk

Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Gaya Koi
Ik Roshni Andhero Mein Bikhra Gaya Koi

Woh Haadsa, Woh Pehli Mulaakat Kyaa Kahoon
Itni Ajab Thi Soorat Haalat Kya Kahoon

Wo Kehar Wo Gazab Wo Jafa Mujko Yaad Hai
Wo Uski Berukhi Ki Adaa Mujhko Yaad Hai

Mittha Nahin Hai Zehan Pe Yun Chaa Gaya Koi
Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Gaya Koi

Pehle Mujhe Wo Dekhke Barham Si Ho Gayee
Fir Apne Hi Haseen Khayalo Main Kho Gayee

Bechargi Pe Meri Usse Reham Aa Gaya
Shaayad Mere Tadapne Ka Andaaz Bhaa Gaya

Saanso Se Bhi Kareeb Mere Aa Gaya Koi
Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Gaya Koi

Yoon Usne Pyaar Se Meri Baaho Ko Chu Liya
Manzil Ne Jaise Shaakh Ke Raahon Ko Chu Liya

Ik Pal Main Dil Pe Kaise Qayamt Guzar Gayi
Rag Rag Mein Uske Husn Ki Khusboo Bikhar Gayi

Zulfon Ko Mere Shaan Pe Lehraa Gaya Koi
Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Gaya Koi

Ab Is Dil-E-Tabaah Ki Haalat Na Poochiye
Benaam Aarzoo Ki Lazzat Na Poochiye

Ik Ajnabi Tha Rooh Ka Armaan Ban Gaya
Ik Haadsa Tha Pyaar Ka Unwaan Ban Gaya

Manzil Ka Raasta Mujhe Dikhla Gaya Koi
Yun Zindagi Ki Raah Main Takra Gaya Koi
 

Rate it:
Views: 1386
27 Dec, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets