Zakham
Poet: Hasni Naveed Afridi By: Minhal, KARACHIAj Faragat Pate Hi
 Mazi Ka Daftar Khola Hai
 
 Tanhai Me Beth K Apna
 Ek Ek Zakhm Tatola Hai
 
 Chun Chuka Ho Jism Rooh Par
 Aaie Huwe Kahracho Ko
 
 Ulat Palat K Dhek Liya Hai
 Armano Ki Lasho Ko
 
 Kamre Me Rakha Tha Use 
 Ya Dil M E Khai Dafnaya Tha 
 
 Jane Wo Anmol Khazana
 Mene Kha Chupaya Tha
 
 Sari Umar Ka Hasil Thi 
 Wo Khone Wali Cheez Na Thi
 
 Soch Raha Yaad Teri Koi 
 Gum Hone Wali Cheez Na Thi
 
 Warq Warq Dheka Hai 
 Apni Gird Alood Kitabo Ko
 
 Jese Koi Be Dari Me 
 Dhoond Raha Ho Khuwabo Ko
 
 Aqal K Hatho Se Bhi Aksar
 Nadani Ho Jati Hai
 
 Bhut Sambhal K Rahne Par Bhi 
 Cheez Khi Kho Jati Hai
 
 Apne Sare Ghar Walo Ko 
 Dewana Sa Lagta Ho
 
 Is Kamre Se Us Kamre Me 
 Khoya Khoya Phirta Ho
 
 Soch Samjh Kar Dunya Ki
 Nazro Se Chupa Kar Rakha Tha
 
 Mene To Us Yaad Ko 
 Apne Liye Bacha Kar Rakha Tha
 
 Kamre Me Rakha Tha Use 
 Ya Dil Me Kahi Dafnaya Tha
 
 Jane Wo Anmol Khazana 
 Mene Kha Chupaya Tha






