Bachpan Ki Baharein Chutey Ek Zamana Hogaya
Mitti Ke Gharondey Banaye Ek Zamana Hogaya
Na Jane Kitni Thokrein Hain Zindagi Ki Dhoop Mein
Kisi Saaye Mein Baithe, Ek Zamana Hogaya
Ummid Ki Sahma Jalane Nikley They Jab Watan Se
Ghar Ke Angan Mein Kisi Ko Chodey Ek Zamana Hogaya
Shaher Ki Bheed Mein Aakar Tumne Ye Kya Halat Bana-li
Apni Shakl Aaine Mein Dekhey Ek Zamana Hogaya
Aye Badlo’n Zara Tham Ke Barso Pyasi Zamee’n Hai
Yaha’n Kheto’n Ne Barish Ko Dekhey Ek Zamana Hogaya
Ye Waqt Ki Sazish Hai Ya Halaat Ka Taqaza
In Honto Ko Muskurai Ek Zamana Hogaya
Tuta Hua Sahara Hai, Phir Bhi Safar Kar Raha Hu
Meri Kashti Ne Sahil Ko Dekhe Ek Zamana Hogaya
Us Kashti ka Kaun Hoga Nigeh-ban Shakir
Ke Jisey Majdhar Mein Chodey Ek Zamana Hogaya
Is Mukhtasar Zindagi Mein Lamba Safar Kaise Tai Karein
Safar Mei Ham-safar Chutey Ek Zamana Hogaya