Add Poetry

Zara Zara Si Baat Pe

Poet: Farhan Nafees By: Farhan Nafees, karachi

Zara Zara Si Baat Pe Khafa Ho Jana
Shayad Raza-E-Qismat Thi Juda Ho Jana

Nahi Tum Ab Hamari Ulfat Ki Zanjeer Main Jana
Koi Humse Acha Mile To Shoq Se Fida Ho Jana

Sadyon Se Bastey Hoe Aastan Ko
Humne Dekha Hai Lamhon Main Dhuan Ho Jana

Nahi Ghum Apni Halat-E-Zar Pe Humko
Ishq Ka To Dastoor Hai Fana Ho Jana

Yad Hai Teri Aankhon Ka Samndar Mujhko
Teri Zulfon Ka Mere Chehre Pe Ghata Ho Jana

Na Samjho Ke Ye Shakhs Ab Tumhara Nahi Raha
Lout Aana Jab Zamane Main Tanha Ho Jana

Ruswai Bhi Mout'br Samjho Muhabbat Main Farhan
Dunya Ki To Aadat Hi Dushman-E-Wafa Ho Jana

Rate it:
Views: 1060
30 Jan, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets