Zindagi Key Meley Mein
Khwahishon Key Reley Mein,
Saath Chhoot Jatey Hein
Log Rooth Jatey Hein
Aashna Hamesha Hi
Aashna Nahin Rehta
Laut Janey Key Siwa
Raasta Nahin Rehta
Zindagi Yoon Lagti Hai
Khwab Ka Nagar Jaisey
Ek Safar-E-Laahasil
Bey Nishan Dagar Jaisey
Mustakil Musafat Sey
Saans Toot Jati Hai
Manzilon Ko Paney Ki
Aas Toot Jati Hai
Paon Chaltey Rahtey Hain
Raasta Nahin Katta
Ek Gubar-E-Bey-E-Maani
Umar Bhar Nahin Chhatta
Es Safar Key Dozakh Mein
Tan Jhulasta Jata Hai
Fikr-O-Soch Ka Resham
Phir Ulajhta Jata Hai
Din Guzartey Rehtey Hain
Waqt Ghatta Jata Hai
Zindagi Ka Ye Saagar
Khaali Hota Jata Hai
Zindagi Key Rastey Key,
Aakhri Parhao Par
Ye Guman Guzarta Hei
Jitni Zindagi Guzri
Saari Raayegan Guzri